Eid ul adha muslimo ka ek special festival hota hai eid ke din log qurbani ka ehtmam karte hain aur us gost ko yateem logon me baant diya jata hai.
Eid ke din sabhi log tamaam gile siqbe mitakar , tamam nafraton ko chhodkar aapas me gale milte hain
Aur ek dusre ko mubarakbaad dete hain. Aur ibadat-e-ilahi me masgool rahte hain.
Eid ul adha ki fazilat
Eid ul adha ki fazilat bahut badi hai, iss din allah ke nabi ibraheem alaihissalam ne apne bete ismail alaihissalam ko allah ke farman par jiba kiya tha uss nabi ki shaan me hum logon par jo sahib e nisaab hain un par kisi janbar jaose unt ya bakri etc. Ki qurbani wajib jaij ki gayi hai. Iski fazilat itni badi hain ki mai bayaan nahi kar sakta. Aur allah ka ehsaan hum par itna bada hai ki uske nabi ne apne bete ko qurbaan kar diya tha lekin hum gunahgaron se usne keval kisi janbar ki qurbani mangi agar humse bete ki mangi hoti to hum kaise kar pate sochiye ki jab hum thode se paison ka ek janbar qurban karne me soch-bichar karte hain.
Conclution
To iss tarah eid ul adha ka tyohar hume pyar mohabbat ka sikhata hai. Aur iski fazilat bahut badi hai.
No comments:
Post a Comment
Thanks Guys