Hajj kya hai
Muslim log saudibarab ke makkah aur madinah shahar mevjakar ibadat e khuda karte hai unki iss yatra ko hajj ke naam se jana jata hai. Unke liye yeh sawab ka kaam hota hai, yahan yeh qawah sharif ka tawaf karte hain masjid e nababi me namaje afa karte hain aur eid al adha ki qurbani karte hain.
Hajj kon kar sakta hai
Hajj sabhi logon par farz nahi hai jo sahib e nisaab hain leval unpar hi hajj farz hota hai. Hajj karne se pahle agar aap par kisi bhi tarah ka karz nahi hona chahiye aapka paisa jaij kamai ka hona hona chahiye najaij tarike se kamaye gaye paise se hajj nahi hota
Hajj karne wale insaan ki agar koi ladki shadi karne layak hai to pahle uski shadi karni chahiye uske baad hi hajj mokammal hoga.
Hajj ka sawab
Hajj ka sawab bahut bada hai. Mukammal tarike se hajj karne wale insaan ko aise samjho jaise usne koi gunah kiya hi na ho.
Hajj me jo naik duaaein ki jati hain wo sab jarur kubool hoti hain.
Iss tarah hajj karne me bahut bada sawab hai.
No comments:
Post a Comment
Thanks Guys